new mobile apps : Hello dosto aap sab ke pass mobile to jaroor hoga. Aapne usme mobile app bhi install kiye hoge. Ham aaj apko batayege ki hamare android mobile me ye 10 jaroori mobile app jaroor hone chahiye.
Aaj ki duniya mobile or smartphone ki duniya hai. Market me aye din smartphone ate rahte hai. Or aap unhe buy bhi karte rahte hoge.
Agar aap apne mobile ko full complete yani ki laptop or computer ki tarah banana chahte hai. Jaise laptop computer me hamara full control rahta hai. Ham usme jo chahe bo kar sakte hai.
Theek bese hi ham apne mobile ko laptop computer desktop ki tarah bana sakte hai. Jaise usme bahut saare fetures hote hai. Theek bese hi ham apne smartphone me bo fetures add kar sakte hai.
Ham apne smartphone ko pc jaisa to nahi bana sakte hai. Lekin ham usme pc jaise kuchh fetures jaroor add kar sakte hai. Iskeliye apko bas apne mobile me kuchh apps install karne hoge jo jayada useful hai.
Ham apne mobile me bahut saare fetures add kar sakte hai. Or kuchh smartphone me to yese fetures pahle se add ate hai. Jaise aap Microsoft ke smartphone dekhlo inme bahut saare fetures pahle se add hote hai.
Android Mobile (smartphone) Ke Liye 10 Jaroori New Mobile Apps
Android mobile hoya or koyi smartphone aaj ki duniya me inka badta upyog bahut kuchh hame batata hai. Jaise jaise smartphone badte ja rahe hai theek bese hi unme kuchh naye feture add hote ja rahe hai.
Hame agar apne mobile me naye naye feture add karne hai to playstore par yese yese apps hai. Jinko use karke ham apne mobile ko pc less bana sakte hai.
Mobile app bahut saare hote hai. Aye din kuchh naya naya hota rahta hai. Mobile ki duniya me bahut saare apps and feture bante or add hote rahte hai.
1. Google Translate
Google translate app duniya ka no1 app hai translating ke mamle me. Yisse ham kisi bhi language ko learn speek ya translate kar sakte hai.
Google hamesha se apne user ke liye kuchh naya karne ki sochta hai. Or bo yis mamle me kamyab bhi hua hai. Google ke abhi tak kayi product market me mojood hai.
Google iska owner(CEO) hone ke karan isme bahut saare feture hai. Yisme aap kisi bhi language ko kisi bhi language me translate kar sakte hai. Or yisme aap apne voice bhi translate kar sakte hai.
Yisme bo poori language hai jo boli ba padi likhi jati hai. Aap Yisme translate karke copy past bhi kar sakte hai. Ye achha feture hai.
2. Map
Map mobile ke liye bahut hi jaroori hai. Agar ham kahi travel kar rahe hai to map hamare liye bahut hi jaroori hai. Ham Yisme kahi ka bhi naksa search kar sakte hai.
Yiskeliye sabse achha map hai. Google map jo no1 hai yiske age koyi bhi map app nahi hai. Ye apke liye bahut hi useful app ho sakta hai.
Aap ghar bete kisi bhi state country ki location chek kar sakte hai.
3. Notes
Note ki baat kare to ye apke liye bahut useful hai. Kyoki agar aap kahi yesi jagah gaye jaha apko kuchh likhne ya note karni ki jaroorat hai or apke pass koyi pen Copy nahi hai to ye apke note ke liye useful hoga.
Iskeliye aap playstore me jaker apps ko download kar sakte hai.
4. Internet Browser
Ab internet browser ki baat ho rahi hai yesa koyi user nahi hoga. Jo smartphone use karta ho or internet use nahi karta ho. Jiske pass smartphone jai bo 100% internet use karta hoga.
Internet ko chalane ke liye hame browser ki jaroorat padti hai. Jisse ki help se ham internet chalate hai. Browser hi hame internet uplabdh karta hai.
Apko browser to bahut mil jayege playstore par. Lekin unmese kuchh hi useful hai. Or fasted bhi. Aap google chrome ka prayog kijiye ye apps professional apps hai jise google ne banaya hai.
5. Antivirus
Antivirus bahut hi upyogi hai. Antivirus ko ham pc ho ya mobile me use kar sakte hai. Jo mobile ya pc ki security ke liye bahut hi jaroori hai. Yisse hamare mobile ki security badti hai.
Amtyvirus ko mobile me install karna bahut hi jaroori hai kyoki yisse hame or hamare mobile ki hacking problems se door rahte hai. Yisse koyi bhi hacker hamare mobile ko hack nahi kar sakta hai. Or nahi koyi hamara data hack kar sakta hai.
6. Gmail
Gmail to aap jante hi hoge ki ye hamare liye kitna jaroori hai. Ham gmail ka upyog har online work me karte hai. Or kabhi kabhi ham yise apne kuch document me bhi add kardete hai.
To iskeliye hame msg mail ke liye hame gmail app ki jaroorat to padegi hi.
Kabhi kabhi yesa bhi hota hai ki ham gmail contect ka bhi jariya bana lete hai. Jisse log hamse contect karne liye mail karte hai. To gmail app hame bahut easy se notifications send kar deta hai jaise whatsapp me hota hai.
Gmail app har mobile me pahle se install ata hai. Agar apke mobile me nahi hai to playstore se download karlo agar aapke me hai to aap use update karle jisse bo sahi se work karne lage.
7. Social media Apps
Aaj ka time chatting ka time hai. Aaj ke samay har log apni olnine pahchan banana chahte hai. Isliye bo online active rahte or yahi hai social media se paise kamane ka junoon bhi bahut hai. Log social media se business kar rahe hai.
Or lakho paise kama rahe hai. Isliye uskeliye aap bhi yesha kuchh karna chahte hai to aap social media apps ko apne mobile me install kar sakte hai.
8. Shoping Apps
Duniya me yesa koyi insan nahi hoga jo apne pero par khade na hone ki na sochta ho. Duniya me yisi soch ke karan har insaan ko time ki kami hoti hai. To unlo jo bhi kharedna padta hai bo online shoping kar lete hai.
Aap bhi online shoping karne ke liye shoping apps ki help le sakte hai or ghar bethe kisi bhi haroorat padne baali chij ko aap ghar delivery kar sakte hai.
9. Photo Editor
Apke pass jab smartphone hai to aap usme photo jaroor kheechte hoge to usko edit karne ke liye hame photo editing apps ki jaroorat padti hai. Jo unko clean and effective bana sake.
Yiskeliye playstore par bahut saare mobile app mil jayege jinse aap achhe se achhe photo design kar sakte hai.
Agara aap meri baat mane to picsart mobile ke liye better hai. Jisse good good se photo edit ki ja sakti hai.
1o. Time alert
Time sabke liye kitna jaroori hai to sabhi jante hi hoge. Aaj ke time me insaan itna busy ho gaya j
Hai ki use time se chalne ke liye time hi nahi hota hai. Isliye time alert mobile apps se ham Yisme time feet karke time ko follow kar sakte hai aap sabhi ise jaroor use kare. Playstore par ye apps apko free me mil jayege.
Conclusion
To dosto aapko batane ke liye to bahut saare mobile apps the. Lekin jo apps apko mene bataye hai bo most hai. Abhi aap apne mobile game, video editor, massenger jaise apps aap apne mobile me install kar sakte hai.
To dosto apko aaj ka ye hamara post Android Mobile Ke Liye 10 Jaroori new mobile apps. Apko kaisa laga app hame neeche comment karke jaroor bataye. Or like share subscribe jaroor kare. Agle post me ham apse phir se milege. Jan tak ke liye jayhind.