Wednesday, April 19, 2017

Mobile Se Dj Voice Tag Kaise Banaye - Dj Name Ka Voice Banaye

Hello dosto aap sabhi to jante joge ki jab ham dj mixing karte hai. Song ko mix karte hai To usme ham apna dj voice tag ko bhi song par lagate hai. Agar aap ka dj voice nahi hai to aap heran na ho me sab kuch batsunga. Apne dj mix kiye hue gane sune hoge usme song beat ke sath sath voice bhi hota hai or bo voice jis ne song ko mix kiya hai uska hota hai. Aap bhi dj mixing kar rahe hai ya karne baale hai aap dj mixing karte hue bhi aapke pass koyi dj voice tag nahi hai ya hai to lekin achha nahi hai.
Mobile-se-dj-voice-tag-kaise-banaye.jpeg
Aap  bahut tarah se dj voice bana sakte hai. Aap ko me sab tarah se bataunga lekin mostly me baat karoonga ki mobile se dj name ka voice kaise banaye me isko poore step se bataunga. Aapko agar apne voice ka dj name banana hau to neeche ka post full read karo. Or kuch problem ya question hoto neeche comment jaroor kare.

Mobile Se Dj Voice Tag Kaise Banaye - Dj Name Ka Voice Banaye

To bhaiyo aap agar dj voice banana chahte hai. To aap do tarah se voice bana sakte hai.
  • Online
  • Offline
Aap in tarah se apne dj voice bana sakte hai. Agar aap online chahte hai. To aapko bahut saare site mil jayegi jo aapke text se speech karke mp3 file me convert karti hai. Lekin kuch site hindi shpport nahj karti hai isliye voice saf nahi ata hai. Agar aap offline banana chahte hai. Aap softwer se bana sakte hai. Lekin aap apni kud ki voice ko record karke voice banana chahte hai to aap pc or mobile se bana sakte hai. Pc se voice banane ke baare me age ki post me bataunga lekin abhi mobile se banana sikha raha hu. Aap ko mobile se voice banane ke liye neeche ke step follow karne padege.

Step 1. Download Apps on Playstore

Ek aaps ata hai simple voice changer aapko play store se pad jakar simple voice changer type karke search karna hai. Or search hone ke baad apke saamne bo apps hoga aap usko sabhi apps ki tarah instell karle ye apps bhi jayada bada size ka nahi hai bas 1mb ka hai. Jab instell hone ke baad us apps ko open kare.
Download now

Step 2. Start recording :

Aab apko yaha recording start karti hai. Ab aap yaha apna voice bole jaisa aap voice banana chahte hai. Dhayan rahe aap koyi sant jagah par kare agar aspas thoda bhi noice hui to usme aapke voice ke sath bo bhi record ho jayega. 
Dj-name-voice-kaise-banaye.jpeg
  • Start recording
  • Speek your voice
  • Stop recording
Ab aap neeche ke step follow kare.

Step 3. Choice Efect :

Jab aap recording stop karege to aapke samne ek atomatic hi file open hogi jisme aapko efect chunna hai. Isme bahut saare efect hai. Aapko jo pasaand aye use aap choice kar sakte hai.
Dj-voice-banane-ka-software/apps.jpeg
Add caption
Isme mene echo efect chuna hai. Aap jo chahe bo efect choice kar sakte hai.

Step 4. Play And Save

Ab aapne jo voice record kiya or use efect diya hai. Ab aap use play karke sun le or save botton par click karke save kar de.
How-to-make-a-dj-voice-tag
Bas aapka mobile se voice tag ban gaya hai. Agar aap iskk quality achhi karna chahte hai to ise bina efect ke save karlo or fl studio me jakar chahe jo efect laga lo or agar isme noice ayi hoto aap fl studio or adove audetion me jakar remove kar do.

Conclusion :

To dosto aaj aapne apne mobile se dj voice tag bana liya hoga. Me asha karta hu ki post passand aya hoga or age bhi dj mixing ke baare me post karta rahoonga. Agar apke koyi question hoto neeche comment box me comment karke comment jaroor kare. Jay hind

2 comments: