Friday, April 7, 2017

Blog Post Ko Jaldi Google Search Me Kaise Laye - Killer Tips

Aap to jante hoge ki ham blog post ko bahut mahnat se likhte hai. Usme ham saare seo step or quality content ki tips follow karte hai. Or hamara post phir bhi google search consol me hamare post index nahi hote hai. Aap ko to pata hi hoga google hamare post jaldi index nahi karta hai. Bo hamare post ko imdex karne ke liye bahut time leta hai. Lekin iska koyi time nahi hai. Kabhi oh 24 ghante me index kar leta hai or kabhi `1 se 5 din tak lag jate hai.
Blog Post Ko Jaldi Search Me Kaise Laye - Killer Tips.jpeg

Ab aap socho ki ye news baale biography bale kya karte hoge. Ye live score bale kya karte hoge post ko google me ek din me laane ke liye. Inka agar hamari tarah haal hoga to sayad hi ye phir ye yesi site ko age chalaye. Ye sab kaam to hamare jaise karte hai lekin ye apne hisab se karte hai. Google ne iske liye suvida de rakhi hai. App ne apni site ko search consol me sumbit bhi kar diya hai or site map bhi lekin ab hamara kaam hai blog post ko ek din me google search me laane ka.



Google consol me ek din apne post ko index karna koyi bada kaam nahi hai. Mera manna hai ki jo google se jaldi treeffic paana chahte hai or apne post ko jaldi se jaldi google me post ko index karana chahte hai ya jaldi se jaldi google search me apne ko lana chahte hai bo har blogger yeshi hi trick ko apnata hai.
Some other topic post :
    Agar aap ko lagta hai ki ye namumkin hai to me aap ko bata ki yise sabhi blogger ne use kiya hai or kar rahe hai. or agar apko ye lagata hai isse hamare seo per efect padega to me aapko ye bata doo ki isse hamare seo bilkul bhi efect nahi padega. Lekin ye ki ye aapke google serch me jaroor ayege lekin ye aapke webmaster tool me index nahi hoge. Mera matlab hai ki ye google search me jaldi show hone ka tareeka hai jab tak hamare post real tareeke se apne anusar index nahi ho jate tab tak ke liye ye hamare google search me ayega or bo besha hi dikhega jaise pahle ke jamare post dikhte hai.
    Some Other Post : 
    to sabhi blogger is trick ko jaroor use kare meri asha hai ki apko haroor passand ayegi. Agar aap bhi is trick ko use karna chahte hai ise prayog karna chahte to aap hamare neeche ke step follow kare or koyi problem aye to neeche ke comment box me comment karke jaroor bataye.

    Blog Post Ko Jaldi Google Search Me Kaise Laye.

    Me aapko uper bata chuka hu ki is trick use karne me apko koyi haani nahi hai. Lekin me apko ye bata doo ki jo aap post google me jaldi index karana chahte hai to bo post google me apke pahli balo ke sath nahi ayege. jo apke post pahle se index hai unke sath iska koyi connection nahi hoga. Ye google apni isliye service banayi hai ki aapka jo post impotent hai or jisko ek din ek ghante me google serch me aana jaroori hai. uske liye hai aap url isme sumbit ho jata hai. Or bo jab tak rahta ki jab aapka bahi url real tareeke se apne google search consol me sumbit na ho jaye.

    Step 1 :

    Ab hame bahut sara jaan liya iske baare me ab ham step follow karege iske liye ham apko neeche step ke sath sath images bhi de rahe plz unko follow kare.
    google webmaster tool crawl click.jpeg
    • Sabse pahle aap apne google webmaster tool me login karo
    • Phir apni sumbit site par click karna hai
    • Ab apko Crawl Par click karna hai.
    • Ab Fetch as google par click karna hai.

    Step 2 :

    Ab ake saamne ek new page openn hoga jisme apko apni post ki permalink dalna hai. Apki pahle ki permalink yeshi hogi.

    http://www.helpertut.com/2017/03/10-killer-blogger-seo-tips.html Kuch is prakar likin apko isme se apni site ka name delet karna hai permalink ko kuch is prakar ki hogi
    2017/03/10-killer-blogger-seo-tips.html Yeshi hi permalink ko ham google search consol webmaster tool me sumbit karte hai.
    google web master tool fetch.jpeg

    • Pahle me apko Jo hamne apne post ki permalink ko edit kiya tha use yaha dale
    • Ab aap Fetch Par click kar de.

    Step 3 :

    • Ab apke saamne ek new page open hoga bo page hai apke index ka jisme apka post google me index ho gaya hai lekin abhi hame or bhi step follow karne hai.
    Ab jab apka post index ho jayega tab apke samne ek page kulega jaisi uper image hai baha apko.
    • Request indexing par cilick karna hai.
    jab aap request indexing par click karege tab apke saamne kuch yesha page open hoga.
    robottext.jpeg

    • Ab apko pahle I'm not a robot par click karna hai.
    • Crawl par click kare
    • Go par click kare
    Bas ab apka google search consol(google webmaster tool) me apka post index ho gaya hai. Ab apka post google search me  ane laga hai ab aap check karle.
    Agar apka post abhi search me nahi aa raha hai to ghabraye nahi review me thoda time lagta hai lekin jayada time nahi lagta hai. Apka post bas kuch hi minit me show hone lagega.

    Last Word :

    Mujhe asha hai ki apko ye trick jaroor passand ayi hogi or apko hamara Blog Post Ko Jaldi Search Me Kaise Laye - Killer Tips ko aapne jaroor follow kiya hoga. agar ye post apko helpfull ho to comment share jaroor kare.

    1 comment:

    1. Gjb mere bhai aap koun si theme use karte ho aur mai apne blog ka traffic kaise badha sakta hu please aap mera blog ek baar check karen mujhe baar baar theme change karna padta h

      ReplyDelete