Saturday, April 8, 2017

Blog Post Ke Liye Google Adwords Keyword Planner Tool Se best Keyword Kaise Research Kare

Aapko pichli post me bata chuka hu ki Google adword keyword planner tool ko use kaise karte hai seo ke liye. Aap ne google adword keyword planner tool ko setup to karliya hoga. Aapne kafi had tak usko use bhi kiya hoga. Google adword ek online advertisment karni bali site hai or isse bahut saare work hote hai. Agar ham ise apne blog post ke liye use karna chahte hai to hame thodi iske basic enformation honi chahiye. Agar hame iski poori nahi to thodi si jankari to honi chahiye. Kyoki agar hame iske baare me thodi see jankari bhi hogi to ham ise manage kar sakte hai or ham ise aone blog post me use karsakte hai.

google-adwords-keyword-planner-tool-Ko-use-kaise-kare
Yese bahut se new blogger hoge jinhe google adword keyword planner ka pata bhi nahi hoga. Hame agar blog post ko high rank or post ki cpc badana hai to hame google adword keyword planner tool ko use karna chahiye. Me google adword keyword planner ko use kaise kare iske baare me post likh chuka hu agar apne abhi tak google adword keyword planner tool ko setup nahi kiya hai to aap is post ko jaroor pade. Google adword keyword planner tool ko use kaise kare is post me mene detail se bataya hai ki ise kaise use kare. Ab ham baat karte hai google adword keyword planner se blog post ke liye perfect keyword research kaise kare.

Blog Post Ke liye Google Adword  Keyword Planner Tool Se Perfect Keyword  Research  Karna Kyo Jaroori Hai

Agar hamne bahut achha post write kiya hai or use 1000 se 2000 word me type kiya hai. Ab hame lagne laga ki hamara post search engine ki achhe search result me show hoga. To ham galat hai agar hamne kisi bhi keyword apne post me target nahi kiya hai to hamara post achhi rank par kaise show hoga. Agar ham chalo koyi adword se keyword resaerch kar lete hai or use apne post me target karte hai. Agar hamara keyword hamare post se related nahi hai to hame kaise rank milegi. Ham kisi topic ka keyword kisi topic me use nahi kar sakte hai. Hame apne post ke liye apne post se related keyword research karna hai. Or ye bhi ki ham apne post ke liye sahi se keyword research nahi kar pate hai. Kyoki uski bhi ek research karni ki bidhi hai. Agar sahi keyword research karna chahte hai to aap necche ke step follow kare.

Blog Post Ke Liye Google Adwords Se Perfect Keyword Kaise Rsearch Kare?

Apko Sayad ye lagta hoga ki ye bahut hi simple work hai ya apko ye lagta hoga ki ye bahut hard work hai lekin hame yesha nahi sochna hai. Agar ham ise normal work samjhe to aap galat bhi ho sakte hai. Agar aap soch rahe hoge ki bahut hard work hai to me kahna chahuga ki blogging hi sabse hard work hai jab ise kar sakte hai to ham ise kyo nahi kar sakte hai.

Agar hame Achhe se achha keyword research karna hai to hame apne post title mese ek achha keyword select karna hai  Example- you tube se paise kaise kamaye Ab aap soch rahe hoge ki isme keyword kya banega. to isme keyword bahut saaf hai paise or  kamaye Aap isko direct google adword keywords planner me search na kare abhi hame ek or kaam karna hai. Aap agar google adword keywords planner tool use kar rahe hai to aap jante hoge ki google adword hindi support nahi karta hai . Iskeliye hame doosri procees use karni hai. Hame ise hindi se english me convert karke research karna hai. example- Paise kamaye se earn mony hame bas hindi se english me convert karna hai or google adwords keyword planner me reaserch karna hai.

Exaple- Mene ek post title likhta hu " online paise kaise kamaye "
Ab hame isme se keyword chunna hai hamare liye isme 3 keyword achhe hai bo hai " online, paise, kamaye" Ab ye keyword hindi me hai ham inhe english me ek sath write karege "Online make mony" Hamne apne post title mese ye keyword select karliye hai. Ab hame inhe adword me research karege. Ab reaserch karne ke liye neche ke step follow kare.

How To Research Best Keyword of Google Adwords Keyword Planner Tool

Iske liye sabse aap ko bata doo ki google adwords keyword plaaner tool hindi support nahi karta hai isliye aap keyword ko hindi se english me convert kar le agar english nahi ati hai to simple bhai aap online google translate prayog kar sakte hai.
  • Sabse pahle aap apne google adword acount se adwords me login kijiye.
  • Phir aap tool par jakar keyword planner par click kijiye.
  • Ab keyword research me apne jo keyword select kiya hai ise daliye ya past kijiye
  • Ab yisme apko apna topic add karna hai ki aap kis topic par keyword research karna chahte hai. ya ise aap khali chod de. yiska ye fayeda hota ki agar adword hazaro keyword hai agar aap catgeree chunte hai to adword bahi keyword search me layega jo apke topic se related hai.
  • Ab keyword select kare ki apko kis lable me chahiye high, low, medium, mere maanne se sabhi ko select karlo
  • Ab aap get idea par click kar de.
google-adwords-keyword-planner-tool-quality-keyword-kaise-research-kare
Jab uper ke poori step follow karege or jab get idea par click karege to google adword keyword planner tool apke search kiye gaye keyword se math hone bale keyword apke home screen per show karega apke saame ek keyword kayi keyword milege or bo alag cpc ke hoge koyi high koyi mediam or koyi low.
top-high-cpc-keyword-ko-google-adwords-keyword-se-research-kare
Apke saamne bahut saare keyword hoge or ab apko isme select karna ki isme kon apke batter hai. Me to bas yahi kahooga ki aap jo bhi keyword choose kare bo apsi post topic se realated ho. Agar  aap chahte ki In keyword ko post me kaise use kare to iske liye me jald hi post likhooga.

Conclusion :

Google adwords keyword planner tool ko use kaise kare seo ke liye. Apko iski uper link dee hai aap ise jaroor read kare. Agar aap ne abhi tak google adwords keyword planner tool ko setup nahi kiya hai to me iske baare me pahle hi ek post likh chuka hu ki google adword keyword planner tool ko use kaise kare seo ke liye aap ise jaroor read kare. or agar aap seo ke baare me jayada janna chahte hai to hamare seo se related post read kare mene usme seo ke baare me detail se bataya ha. or hame ye jaroor bataye ki aaj ka ye hamara post apko kaisa laga or like share comment jaroor kare or koyi problem aye to comment jaroor pochhe. thanks for reading

No comments:

Post a Comment