Wednesday, April 19, 2017

Dj Song Banane Ke Software Kon Se Hai - Top 5 Free Dj Mixing Software

Hello friendrs aap bhi apne name ka dj song banana chahte hoge. Aapko bhi dj mixing ke baare me janna hai to post ko full read karo. Aaj ke time dj mixing ka junnon har bande par chaya hai. Or chhaye bhi kyo na music ki jo duniya har admi ko music passand hai. Agar maane to music ke bina life life nahi hai. Dj song bo hota hai jo orginal song hota hai. Bo simple song hota hai. Or jab use ham dj me mix karte hai to usme alag se bass and beat hoti hai jo orginal song se alag hota hai. Aaj ke time dj mixing ka ek business hai. Jisse lakho log paisa kama rahe hai aap bhi kama sakte hau dj mixing karke. Aap ne internet par bhi site dekhi hogi jo dj mix song upload karti hai. Be inhi software ko use karti hai song remix karne ke liye. Bo alag se software use nahi karte hai bo bhi yahk software use karte hai. Lekin kuchh software yeshe hote hai jinhe ham bina learning corse kiye use nahi kar sakte hai lekin kuchh softwer yeshe hote hai jo asani se samajh me a jate hai. Me aapko yese software ke baare me batane ja rahoo.
Dj-song-banane-ke-software-kon-kon-hai.jpeg
Yisme se apko kuchh chalana sheekhna hoga or kuchh ko aap simple tareeke se chala sakte ho. Iskeliye aapko destop pc ya computer chshiye jisme aap inhe instell kar sake or dj song bana sake. Agar aap mobile me chalana chahte hai to aap inhe nahi chala sakte hai. Agar aap mobile se dj song mix karna chagte hai to aap me agle post me bataunga ki aap mobile se dj miximg kaise kare. Jab tak ke liye wait kare. Or aaj ke post ko read kare jisme bataunga dj song banane ke kon kon se software hai.

Dj Song Banane Ke Software Kon Se Hai - Top 5 Free Dj Mixing Softwer

To bhai dosto agar aap mixing karte hai ya nahi karte hai to ye post aap sab ke liye bahut usefull hai. Agar aap bhi apne name ka dj song banana chahte hai to me apko bahut saare softwer ke baare me bataungs. Agar aap mixing karte hai to me bhi aapko inke baare me intro doonga. Aap ne in softwer ko agar chalaya hai to aap inki baare me jaroor jante hoge or inke work ke baare me bhi.

1. Fl Studio :

Fl studio ab tak ka sabse bada softwer hai isme bshut saare plugin hone ki bajah yah bahut khas hai mixing karne ke liye. Agar iski baat kare to 100 % mixing karne baalo mese ise 99% log use karte hai. Isliye fl studio duniya ka mixing karne ke mamle me 1 hai. Fl studio har year ek new version create karta hai. Aaj iske hamare pass 10 se12 tak ke version mozood hai. Ye aam compnee s ki jaise nahu hai bahut saare compnee kya karti hai ki bo paid software deti hai or bo apna trail version sirf 1 month ke liye deti hai. Lekin fl studio ek paid softwer to hai to lekin uska trial demo version ko life time use kar sakte hai.
Download

2. Able Ton Live :

Able ton live bhi ek achha mixing softwer hai. Lekin ye softwer free me nahi chala sakte hai. Ye ek paid softwer hai. Lekin aap iska 30 day ka trial version download kar sakte hai. Isme bahut saare futer hote hai. Aap isme song mixing, music cutting kar or bhi bahut kuchh kar sakte hai. Lekin aap kk ise chalane ke liye corse karna hoga kyoki ki ye bahut bada softwer hai. Aap ise asani se use nahi kar payege lekin dheere dheere sab seekh jayege.
Download

3. Virtual Dj :

Virtual dj ek bilkul free software hai jise use karne ke koyi paise nahi lagte hai. Ye sizs me bhi bada nahu hai bas 48 mb ka hota hai. Iske bahut saare version hai. Sab alag size ke hote hai. Aap isse song remix kar sakte hai. Or agar aap kisi song ki quality ko theek karna chahte hai to isme yese bahut saare tool hote hai jisse aap apne song ki quality achhi kae sakte hai. Agar aap kisi song ka background music remove karna chahte hai to aap isse kar sakte hai.
Download

4. Zulu Dj softwer :

Zulu dj ek bahut hi simple dj mixing softwer hai. Agar ham ise ek mixer kahe to bura nahi hoga isme ek dj mixer ke jaise tool hote hai. Lekin yisme jo feture hai bo hai live voice recording and live speech. Isme ye bahut achha feture hai ki isme app live recording end live speech kar sakte hai.
Download

5. Dj Pro Mixer Free

Dj pro mixer ek softwer hai. Isme virtual dj ke jaise tool hote hai. Or aapko ye bahut hi jald samajh me a jayega. Isko aap simple download karke apne pc leptop ya computer me instell kar sakte hai or use bhi kar sakte hai.
Download

Conclusion

To aapne is post ko read karke ye to jaan hi liya hoga ki ham dj song kin kin softwer se bana sakte hai. Agar kahi par koyi problem aye to neeche comment jaroor kare. Jay hind

2 comments: