Thursday, April 20, 2017

Blogging Me Apni Writing Skills Improve Karne Ki 10 Best Tips

Hello blogger aap bhi apne blog ko age tak le jane ki soch rakhte hoge agar rakhte hai to yis post ko read jaroor kijiye ga. Ham blog banate hai bas yahi soch kar blogging kuchh alag kare or help kare. Agar aap yahi soch te hai. To bahut hi badiya baat hai. Agar hame blogging karna hai to visiter hamare liye bahut jaroori hai. Agar aapko jayada visiter chahiye to apko apni writing skill ko sudharna padega. Hame apne content yeshi writing me likhna hai jo visiter ko asani se samajh me a jaye. Ham jo bhi likhe bo visiter ko saf saf pad sake or unhe padne me koyi problem na aye. Hamesha content ko visiter friendly likhe. Aaj time comptetion itns bad gaya hai ki agar aap content ki writing skill par dhayan nahi dege or visiter ko apka likhne ka style passand nahi aya to visiter apke blog ko visit kar dena hi chod dege.
Blog-ki-writing-skill-kaise-theek-Kare.jpeg
Isliye aap apni content writing skills par dhayan dijiye. Jisse jo visiter aapki site par aye hai un par apke writing ka sahi efect pade. Agar aap apni writing skills ko improve karna chahte hai to aap neeche ke post ko read kare.

Blogging Me Apni Writing Skills Improve Karne Ki 10 Best Tips

Agar aap apni blog ke visiter ke liye achhe or usefull content likhte hai to apko apni writing skills par bhi dhayan dena chahiye.
Agar aap yesha karte hai to mera manna hai ki apki blog par parday bahut saare visiter hoge or 50% to apke bo visiter hoge jo apke blog par seconde time aye hai. Or agar apka writing skills yesha hi achha raha to bo visiter apke regular visiter ban jayege.

1. Always Write the Correct Post

Always write posts on the right info. Agar aap blogging me success hona chahte hai to aap sahi information par post likhe kyoki agar visiter ko ek bhi post me galat information galat lagi ya apke post se use kuch bhi labh nahj hua to bo apki image ko pahchan jayega isliye is par bhi dhayan de jo ham apne post content me likh rahe hai bo sahi enformation ho. 

2. Attractive Post Title And Headings

Agar aap visiter ko apne post ke taraf kheechna chahte hai to hamesha attractive post title/heading choice kare. Isse ye hoga ki agar apka post title attractive hai or visiter ko apke post title me ruchi lagi to bo apke post kl jaroor read karega. Agar aap post ko social media par share kar rahe hai to esa post title to hona bahut jaroori hai. Agar apka attractive post tile hai to social media se jayada click milne ke jayada chance hote hai.

3. Use English Word In Post Content

Yese bahut saare reader hote hai jinhe english word bahut passand ate hai. Agar aap post ko hinghlish ya hindi me lilhte hai. To absakta padne par aap apne blog post content me english word use kare me ye nahi kah raha hu ki aap poora post hi english me type kar de me yah kah raha hu ki aap jab post me chote se word ki absakta pade to aap jaroor use kare. Isse visiter par achha efect padta hai.

4. Follow Other Site

Follow the other site to get a new idea. Agar aap chahte hai ki har din kuch naya kare. apne visiter ke liye kuch naya karna chahte hai, app apne readers ko nayi nayi jankari dena chahte hai to other site ko visit karke unke post ko read kare or unse kuchh sekh le. Isse apka knowlage improve hoga.

5. Think of New Idea.

Learn something new every day for your blog's readers. Apne blog ke readers ke liye har din kuchh naya naya seekhe. Isse apke blog reader apki taraf attractive hote hai. Iske liye aap other site ko follow kar sakte hai ya wikipedia.org jaisi badi site se aap had din kuchh naya sheekh sakte hai.

6. Use Example In Your Post Content

Agar aap apne blog par kuch tech se related post likh rahe hai to app apne post content me example jaroor add kare jisse apke reader ko saf saf samjh me a jaye. Isse apke readers koyi problem na ho read karne me. Isliye aap apne post content me 100% examplr ko use kare.

7. Check Post Before Publish

Kayi baar yesha hota hai ki ham post ko likhte jate hai likhte jate hai. Ham apni post ki gramer or word chrk nahi karte hai ki ham kya likh rahe hai. Joki hamare liye or hamare content ke liye dengers hai. Aap jab bhi post likhe aap ek word ko samal kar likhe. Aap ki ek galti readers ka bahut kuch bigad sakti hai. Isliye aap jab post likhe to aap sahi se or likhe. Or jab post likh jaye to use publish karne se pahle karoor ckek kare.
Isse apke blog posg content me koyi wrong word nahi rahega. Ye bhi ek writing skills improve karne ki trick hai.

8. Never Copy Cut Past

Kuch blogger ki ye habit bahut hi wrong hai. Be hamesha doosre ki nakal karte hai agar bo unki nakal karne me success nahi hote hai to bo cut past copy ka tareeka apnate hai. Ya to be time ki bachat se karte hai ya kuch karne se darne ki bajah se karte hai. Agar aap yesha kam karege to aap blogging kitne time tak ruk payege kahna bahut muskil hai. Isliye jo aapke brain me aye hamesha bahi content likho. Isse tumhare reader bhi ap par trust karege.

9. Choice Any One language

Ye bhi ek bahut hi badi baat hai. Agar hame visiter ko apne taraf attractive karna hai to hame kisi ek language par blogging par karni chahiye jo aapkk passand ho chahe english, hinghlish ya hindi ho hame inme se ek language ko choice karna hai. Jisse hamare visiter ko alag alag language me padne me koyi problem na aye. 

10. Write Useful Content

Agar aap apni blog ke or visiter ke liye kuchh karna chahte hai to apni blog par useful content likhe jo user ko jarurat ho. Aap agar kam time or kam post me jayada treffic chahte hai to aapko apni blog par useful content likhne hoge jo internet par bahut kam ho.

Conclusion

To dosto aap ko isse pata chal gaya hoga ki apne blog ki writing skills improve kar sakte hai. Ye content bahut hi useful hai kyoki isko mene use kiya or karta hu isse mujhe bahut labh hua hai. Kyoki agar hame blogging me success hona hai to hame choti choti baato ka bhi dhayan rakhna chahiye. Blogging work bahut hard hai. Isliye hame bahut sari mahnat karni ki jaroorat hai.
Blogging work is not easy.It's very hard work.If we work hard, then this is not a difficult task.If we want to succeed in blogging, then we have to work hard. To dosto post passand aya hoto like share or comment jaroor kare. Jay hind

No comments:

Post a Comment