Monday, April 10, 2017

Blog Me Stylish Fonts Family Kaise Add Kare.

Kayi baar mujhse bahut saare bloggers ne mujhse poocha ki aap konsi fonts family use kar rahe ho. Mujhe bhi aap jaisa fonts style apne blog me add karna hai. Bhai blog ka fonts style kaise change kare tell me.
Yese hi sawal mujhse whatsapp or facebook ke jariye pochhe hai. Isme unki galti nahi ki be apne blog par font kyo nahi change kar paa rahe hai na hi galti unki theem hai jo be use kar rahe hai. Hamre internet hazaro font family hai bo sab alag alag hai koyi serif hai verdana, hai koyi faunahai, koyi kurela hai. Ham sabhi ko apne blog paer try karege to phir kaas hi apni blog per post likhne ke lie time nikal paye. Aj ke time bahut sare blogger apni passand ke fonts use kar rahe hai. Kisi fonts style behad achha hai or kisi ka thoda kharab hai. Kisi ne to abhi tak apni theem ki fonts hi change nahi ki hogi ab kyo nahi ki hogi ye soch rahe to me bata doo ki kuch isliye change nahi karna chahte ki jo bo theem use kar rahe usme alredy best stylish fonts add hai or koyi isliye nahi change kar pa raha ki unhe change karna hai to hai lekin unke pass achhi stylish fonts family ke css code nahi hai.
how to add stylish fontsin blogger blog.jpeg

Or kuchh isliye nahi change kar rahe hai ki unhe change karna nahi ata hai font family kya hai or inhe kaha se lekar apne blog me kaha add karna hai. Appko me bahut saare font family ke baare me bataunga aap ko jo passand aye bo aap apne blog me add karna. Lekin usse pahle jaan le ki font family kya hoti hai.

Font Family Kya Hota Hai ?

Jaise hamari family hoti hai. Jisme bhai bahan mumy dedy dada, dadee, bese hi fonts ki family hoti hai. Font ko aapne dekha hoga apne jab aap post likhte hai to aap itelic bold ye bhi fonts style hai. Internet par bahut saare fonts uplabdh hai or use bhi kiye jate hai. Bahut saare font deplopers compny hai jo font family creat karty hai. Lekin me aapko unhi ke baare me bataunga jo is samay use ki ja rahi hai. Agar hame inhe blogger me add karna hai to hame inke css code ko apni blogger ki coding me past karna hoga. App inhe simple tareeke se apne blogger me add kar sakte hai. Agar aap inhe add karna chahte hai to neeche step follow kare.

Top Stylish Font Family Add Link in Blogger :

Bese agar apko jayada stylish font family chahhiye to aap ko google font se se download karna hoga ya aap simple jo apko font passand aye use aap uski link ko apne <head> neche link kar sakte hai kuch is prakar <link href='http://fonts.googleapis.com/css?family=Monda:400,700' rel='stylesheet' type='text/css'/> aap yaha iski link ko delet karke aapko jo font passand aya hai aap uski link ko yaha past kare or ise blogger me add karne ke liye neeche ke step follow karo. 

  • Blogger me login kare.
  • Theem par click kare.
  • Edit html par click kare.
  • apne keyword se ctrl+f key dabaye.
  • or usme <head> ko search kare.
  • phir link ko head ke neeche past kar de.
  • Or save template par click karde.
add stylish fints in blogger.jpeg

Bas hogaya aapki blog ki font family change hogayi isse ye hoga ki aapki poori blog me jitne word likhe hai likhege sab bas isi font family me type hogi jiski link aapne apne blog me add ki hai. Lekin aap ye chahte ki me apni theem par bahut saree font use karna chahta hu ki Heading par alag ho paragraph par alag ho or hamare blog ke text alag fonts family me hoto aap ek simple tareeka use kar sakte hai bo hai ki apko apne blog me css code use karne hoge. Aap me top stylish fonts family ke css code doonga jisko aap jaha use karna chahte hai baha past kijiyega.

Add Stylish fonts  Css Code  In blogger :

Apko me 10 stylish fonts ke bbare me bata raha hu jo abhi sabhi blogger use kar rahe hai or kuch ko use kar chuke hai. Agar apko or fonts family chahiye to uper baya chuka hu ki aap ko google fonts site par saare fonts mil jayege. jinhe aap asani se apne blogger me use kar sakte hai.
Fauna One Serif : ye font family aaj ke time ki bahut use kiye jaane baali stylish fonts family hai. ise aaj ke time bahut saare chote bade blogger use kar rahe or ye meri bhi fevoirt hai ise me bhi use kar raha hu.

Times New Roman Georgia : Yah font family agar mano to pichle time me bahut use ki gayi abhi bhi bahut saare blogger or designer use kar rahe hai. iski ye khas baat hai ki iske font bahut hi stylish hote hai. Jo hamare words ko bahut googd looking bana dete hai.
Verdana Geneva Serif : ye font family adhik tar pahle theem ati hai.Agar aap free theem use karte hai to ye pahle se theem add hoti hai. Agar aap apni blog par hinghlish nahi hindi me likhte hai to ye fonts family aapke liye bahut usefull hogi kyoki bahut saree fonts family hai jo hindi fonts me achhi nahi lagti hai. agar aapki hindi blog hai to aap ise jaroor use kare.

Blog Me Stylish Fonts Family Kaise Add Kare.

Aapne uper diye hue fonts ke baare me pad liya hai aapko jo fonts achha lage use aap copy karle agar aap or fonts chahte hai to fonts.google.com se or adhik fonts use kar sakte hai mene apko bahi fonts diye hai jo mene use kiye hai or use kar raha hu. Me uper apko google fonts ke baare me bhi bata chuka hu ki aap kaise apne blog me add kar sakte hai. Ab hamara kaam hai blog me add karna to ham inhe ek sath sabhi blog text content par add kar sakte hai or alag alag bhi me apko sabhi tarah se bataunga ki aap headings par kaise add kare or paragraph kaise add kare sidbar footer or alag jagah par kaise add kare. Aap necche kae step follow kare.

Stylish Fonts Family Ko Headings Par kaise add kare :

Ham headings par sabhi headings par alag alag bhi use kar sakte hai jaise h1 par alag or h2 par alag lekin yisse agar ham jayad prakar ki fonts add karege to hamare visiter ko headings ko samjhne me dikkit a sakti hai isliye ham ek sath sabhi headings par use kar sakte hai. Iskeliye aapko me css code de raha hu use copy karke aapko apne blog ki css coding me past karna hai. 
Is code ko aap necche diye step follow karke aap font family ko headings par add kar sakte hai. Note : mene isme fauna one serif font add ki hai iske jagah aap apni font add kare.
  • Blogger A/c par login kare
  • Theem par click kare
  • Edit html par click kare.
  • Apne keywords se ctrl or f ek sath dabaye.
  • usme ]]></b:skin> past kare.
  • or ]]></b:skin> ke theek uper uper bala code past kare.
  • Save theem par click kare.
Stylish font add in blogger for many content.jpeg

Aap uper diye hue step ko follow kar sakte hai mene isme fauna one font use ki hai aap uski jagah or koyi fonts use kar sakte hai. Iskeliye aap fauna ki jagah apne passand ka font css code add kare.

Stylish Fonts Ko Paragraph Par Kaise add Kare :

Jaise hamne pheadings par fonts family define ki bese hi ham apne pragraph par define kar sakte hai iske liye me apko css code de raha hu isko past karke aap apni blog ki css coding past kijiyega.
Aap ne jaise heading par font style change ki hai bese hi aap ko yise karna hai. Mene yaha verdana serif font family add ki hai aap uski jagah apni passand ki fonts family ka code add kare.  jJaise hamne headings ko ]]></b:skin> ke theek uper past kiya hai bese ise bhi bkin ke uper past karna hai.

Stylish Fonts Ko Ek Sath All Blog Content Par Add Kare :

Mene apko uper baya ki kaise aap apne blog me alag  alag content par alag alag fonts family add kar sakte hai. Agar aap sabhi par ek sath ek hi stylish fonts add karna chahta hai to aap neeche diye hue code copy karke apne blog ki css coding me past kare.
Yis css code ko aap apne css coding me past karoge to ek sath apki blog ke sare content par add ho jayega. Note : Mene yisme verdana fonts add ki hai aap iski jagah apni passand ki font family add kare or aap to jante hi hoge ye kaha past karna hai jaise hamne uper kiya bahi ]]></b:skin> ke theek uper past karna hai.

Conclusion :

Agar aap hamare step follow karoge to aap jaroor apne blog me stylish fonts add kar sakte hai. Agar isme apko problem aye to hame neeche comment karke jaroor bataye or hamare post me koyi galti ho to jaroor bataye. Hamara aj ka post Blog Me Stylish Fonts Family Kaise Ad Kare. apko achha laga hoto like share comment or subscribe jaroor kare. thanks.

1 comment:

  1. Blogginng Tricks: Blog Me Stylish Fonts Family Kaise Add Kare. >>>>> Download Now

    >>>>> Download Full

    Blogginng Tricks: Blog Me Stylish Fonts Family Kaise Add Kare. >>>>> Download LINK

    >>>>> Download Now

    Blogginng Tricks: Blog Me Stylish Fonts Family Kaise Add Kare. >>>>> Download Full

    >>>>> Download LINK

    ReplyDelete