Saturday, April 15, 2017

Mobile Se Blogging Karne Ke Liye - 15 Jaroori Apps

Hello bloggers kya aap bhi mobile se blogging kar rahe hai. Ya aap apne mobile blogging life ko achhe se achha banana chahte hai to post ko full read kare. ap sabhi to jante hi hoge ki aaj ke time me sabhi paisa kamana chahte hai. Sabhi ka ye sabse bada dream hai ki internet se paise kamaye. Kyoki sabhi chahte hai ki unhe mahnat na karni  padi or paise bhi kama sake. Lekin bo ye nahi sochte hai ki blogging is not easy. Blogging is very hard work only. Sabhi jante hai ki blogging se paise kama sakte hai. Blogging karna jayada kathin kaam nahi hai lekin mahnat karni padti hai. Sabhi blogger aaj mobile computer se blogging kar rahe hai. Kuch blogger mobile se blogging kar rahe hai. Agar aap bhi mobile se blogging kar rahe hai to aap ye janna bahut jaroori hai ki mobail se blogging karne ke liye aapko kon kon mobail apps ki jaroorat padegi. Apko me sabhi apps bataunga ki jise aap blogging karte time use kar sakege. Agar aap chahte hai ki aap mobile se better blogging kare to aapko blogging ke apps use karne padege.
Mobile-se-blogging-karne-ke-liye-kuchh-jaroori-apps

Aaj ke time bahut saare blogger mobile se blogging kar rahe or bo computer blogger se achhi blogging kar rahe hai.
Agar hindi blogger ki baat kare to 100 me se 40% blogger mobile se blogging kar rahe hai. Agar aap bhi mobile blogging kar rahe hai to aaj ka ye post mobile se blogging karne ke liye kuchh jaroori apps aapke liye bahut helpfull joga. Agar aap chahte hai ki aap mobile blogging karte hue bhi achhi blogging kare to neche ka full post read kare or like share or comment jaroor kare.

Mobile Se Blogging Karne Ke Liye 15 Jaroori mobile Apps.

Mobile blogging karna koyi muskil kaam nahi hai lekin kuchh baate mobile blogger ke liye sir dard hai. Kyoki mobile kuchh site ko support nahi karta jo computer karta hai. Jaise ki google adwords keyword planner tool ye bo tool hai jisse ham apne blog post ke liye keyword search karte hai or post me seo ke liye use karte hai. Agar hame is tool ko use karna hai to hame yesha mobile apps use karna hoga jiska look pc browser ki trah ho or pc jaise tool ho. Ham yese hi browser ki baat karege or sabse badi problem hame mobile photo edit karne me ho ti hai. Kyoki computer ke liye bahut se softwer mozood hai. Jaise ki photoshop lekin mobail ke liye yesha softwer nahi hai. Dont wary me apki poori help karoonga.  Me mobile blogger liye bahut saare apps ke baare me bataunga.

1. Google Chrome Browser Mobile Apps.

Agar aap mobile blogger hai. Agar aap mobile se blogging karna chahta hai or apne blog par post likhna chahte hai to apko mobile se post likhne ke liye google chrome browser ko use karna hoga. Isse aap asani se apne mobile post likh sakege. Isme bese hi feture hai jaise computer par hote hai. Or agar aap apne blog ko design or edit customize karna chahte hai to aap isse asani se kar sakte hai.
Download now

2. Puffin Web Browser.

Puffin web browser ab tak no 1 internet fast browser hai. Agar aap chahte hai ki aapki blogging ka work fast or assan ho to aapko puffin web browser ko use karna na bhoole. Agar aap mobile me google adword keyword planner tool ko use karna chahte hai to aap isse kar sakte hao. Agar aap chahte hai ki aap apbe mobile par computer ka maza le to aap ise use kare kyoki isme computer jaise tool or look hai. Aap chahe to isse post likh sakte hai. No problem.
Download now

3. Pics art : Photo editer Mobile Apps.

Ye to aap jante hi hoge ki blog post me ek image 3000 word ke bara bar hai. Agar ham posr me image use nahi kar rahe hai to uska seedha asar hamare seo par padega or agar ham post me kharab design ki image use kar rahe hai to iska efect hamare visiter par padega jisse hame achha treffic nahi milega. Kyoki hamare post ki jaan hi images ho ti hai agar bo hi achhe se design nahi hoto to visiter par efect padega hi. Agar aap computer se blogging karte hai to aapko bahut saare softwer mil jayege photo edit karne ke liye. Agar aap mobile blogger hai or mobile se blogging karte hai to pic art sabse best hai isme bahut saare feture hai. Example-
  • Apni alag photo design karne ke liye drawing tool.
  • Kisi or phito ko edit karne ke liye phito edit tool.
  • Photo ka background change karne ke liye tool.
  • Photo par text add karne ke liye 3D text tool.
  • Text ka style change karne ke liye many font familes.
  • Image ko crope karne ka tool.
  • Image par in border or out border lagane ka tool.
  • Image ki quality chenge karne ke liye many efect.
  • Image par icon lagane ke tool.
  • Image par doosre photo add karne ka tool.
  • Image ko png.jpeg.gif formate me save karne ka tool.
  • Imags par earo lagane ka tool
Agar baat kare to ye photo shop ke takker ka apps hai. Yesha koyi bhi mobile blogger nahi hoga jo pic art ko use nahi karta hoga. Pic art is best photo editer apps for photo editing. Aap isse kayo prakar ki photo edit or create kar sakte hai.
Download now

4.PicSay Pro : Fast Photo editing Mobile Apps.

Agar aap chahte hai ki mobile se apne blog post me liye fast photo edit kare to aap picsay pro ka proyog kare. Isme bahut saare simple tool hai. Jisse aap asani se jayada time na kharab karke post ke liye photo edit karna chahte hato pic say better hai.
Download now

5.Screen Shot Maker : Mobile Apps.

Har mobile blogger ko apne blog post ke liye screen shot lene ki jadoorat padti hai. Kabhi ham agar ham kuch sekhane ka post likh rahe hai to usme hame screen shot lene ki jaroorat padegi jo har mobile me tool nahi hota hai screent shot lene ka to iske liye ham screenshot apps ko use karte hai. Isme bahut saare tool hote hai. Isme asaani se screent shot le sakte hai. Isme kamal ki baat to ye hai ki hame jitne size ka screent shot lena ham use select kar sakte hai or us par earo or text daal sakte hai.
Aap ise asani se google play store se download kar sakte hai. Or apne mobile me screent shot ke liye use kar sakte hai. Mene use kiya bo aapko bataya hai. Play store par apko bahut saare apps miljayege mobil se screen shit lene ke liye.

6.Blogger.com offecial Mobile Apps.

Aap to jante hi hoge sabhi offecial sites ke mobile aap hote hai. Theek bese hi blogger.com ka offecial aap hai. Ye bhi aapke liye use full sawait ho sakta hai. Isme theek bese hi tool hote hai jaise browser par blogger site ko open karne par hote hai.

Blogger ka ye offecial aaps ko aap chahe to instell nahi kare kyoki itna kaam to hamare browser bhi kar dete hai. Agar aapko lage ki ye usefull hoga to aap ise instell kar le bura bhi nahi hai. Jitna ho sake isse ye utna work karega.

7.Google Drive :

Aapko agar apki koyi man passand cheej ko aap sef rakhna chahte hai to aap google drive ko use kijiye. Agar apki blog ke post content file ko safe rakhna chahte hai to aap google drive par upload kijiye. Iske liye google aapke file docoment etc. Ko upload karne ke liye enuf stroge deta hai.
Aap simple yisko google playstore se download karke mobile me use kar sakte hai. Aako isko chalane ke liye isme acount banana hoga jiske liye aap simple apni gmail id se login kar sakte hai. Or apna data jo chahe is par upload kar sakte hai. Ye google ki traf se free service hai. Iske aapko ek bhi paisa nahi dena padega.
click to download

8.Pixabay The Photo Downloading Apps.

Aapko post ke liye photo ki jaroorat to padegi hi. Iskeliye pixabay mobile app jisse aap fast apni post ke liye photo download kar payege. Kyoki agar ham browser me jakar site ko search karege tab tak bahut time lag jayega iskeliye pixabay ka mobile app bahut hi sandar hai aapke liye.
Aap ise uper download botton par click karke play store se assani se download kar sakte hai.
Click hare to download

9.Google Adsense :

Ye apps har blogger ke liye bahut hi helpful apps hai. Ye aaps hame jaroor apne mobile instell karna chahiye kyoki ye google adsense ka apps hai. Har blogger chahta hai ki us site par adsense ke ads lage. Jisse hame earning ho. Agar aap google adsense ko use kar rahe hai ya karege to ye app apke liye bahut helpfull hoga. Ye apps jo mobile blogger jo mobile se blogging kar rahe hai unhe bhi or jo mobile se blogging nahi kar rahe hai unhe bhi is aap ko apne mobile me rakhna chahiye. Kyoki isme ye saare feture hai.

  • Isse aap apni earning ckek kar sakte hai.
  • Aap apna cpc chek kar sakte hai.
  • Apna ctr chek kar sakte.
Or isme bahut saare feture mozood hai. Jisse apko browser open karne ki jaroorat nahi hai. Aap simple hi isme chek kar sakte ho.
jab instell ho jaye to isme apko login mage to aapko bas apne adsense acount ka id password dal kar login karna hai.
Click to download

10.Google Adwords :

Sab jante hai ki Agar hame seo redy post likhna hai to hame google adwords ko use karna hoga. Google adwords se hame keyword research karke apne post me target karna padta hai. Lekin sabse badi mobile se blogging karne baale mobile blogger ko yahi sir dard rahta hai ki mobile se adwords ko use kaise kare. Agar aap karna chahte hai to ye app best hai.
Ja aap ise first time open karege to aapko isme login karna hoga. Aapne jo gmail se adword me acount banaya tha bahi yaha daale or login karle. Lekin me salah doonga ki agar aap mobile blogger hai to aap puffin browser hi use kare isse adword ko manage karna bahut asan hai.
Click to download

11.Google Analytics :

Aap to jante hi hoge ki hamare liye visiter kitne bade god hai. Agar inhe mano to ye hamari site ke liye god jaise hai. Hame google analytics se ye neeche ki baate pata chalti hai - 
  • Hamari site par treffic kaha kaha se a raha hai.
  • Hamari site par abhi online visiter kitne hai.
  • Hamari site par visiter search engine se kitne a rahe hai.
  • Hamari site par visiter search engine se kis keyword ko search karke ye aye hai.
  • Hamare blog ka bounce rate kya hai. Hamari blog par visiter kitne time rukte hai.
  • Blog ka treffic kitna hai.
  • Blog ka treeffic kis country se ata hai.
Yese hi tool google analytics me hote hai bese sabhi feture is aap me hote hai. Aap is apps se apne blog ke treffic ko asani se manage kar sako ge.  Or jab instel ho jaye to aap ko login karna hai. Apko login karne ke liye bahi gmail se login karni hai jisse aapne google analytics par acount banaya hai. Agar aap ne acount nahi banaya hai to aap pahle acount bana le.
Click hare to download

12. Wiki Pedia :

Aap to jante hi hoge ki wiki pedia kitni badi site hai. Wiki pedia par mostly biography ke baare me content share kite jate hai. Ye aaps mobile blogger ke liye hi computer blogger ke liye bhi ye apps bahut helpful hai. Aap agar mobile se blogging karte hai or koyi aap yesa post likh rahe hai jo kisi ke biography se related post hai to aap is par search kar sakte hai. Or ye saree bashayo me uplabdh hai. Agar aap isse kuch sheekhte hai or apne blog par post karte hai to ye copy write nahi hoga.
Click hare download

13. Note Pade :

Hame blogging bahut sare work karne padte hai. Blog design, note, password,docouments, etc ko agar save karna hai to hame notepade ko use karna hoga. Note pade me bahut sare feture hote hai. Jisse apki mobile blogging or achhi ho sake. Agar aap pc use karte hai to notepade ++ pc ke liye theek hai.
Click hare to download

14. Sinium Seo Tool :

Achha blogger bahi hota hai jo seo ke baare jane or janta rahe. Agar ham achha blogger banna hai to hame seo ko janna bahut jaroori hai. Agar hame jayada treffic chahiye to seo hi yesha madhyam hai jisse hame jayada treffic mil sakta hai. Hame blogging karne ke liye seo ke bare me jaroor janna chahiye mene bahut se seo ke baare me post likhe hai unko read kijiye jaroor fayeda milega. Seo ke liye hame apnj site ko seo redy banana hoga. Agar aap ne apni site ko seo redy bana liya hai to aap sinium seo tool se apne blog ki setting chek kar sakte hai ki aapki blog seo ke baare me kitni success hai. Agar mobile se blogging karna chahte hai to aapko ye aaps jaroor use karna hoga. Iske hame koyi paise nahi dene padte hai ye ilkul free tool hai. Iske kuch feture -
Blog Rank Tool :
  • Alexa rank.
  • Moz Rank.
  • Page Authority.
Reserch Tool :
  • Broken links Finder.
  • Code to text ratio.
  • Dmoz listing.
  • Google cache
  • Link analyzer
  • Mobile friendly test
  • Page size cheker
  • Seo report card
  • Adsense calclulator
  • Serp keyword position
  • Social stats
  • Spider simulator
  • Link counter
  • Www redirect cheker
Performance Tools :

  • Gzip compresion test
  • Server status
  • Webpage speed test
  • Css minifer
  • Java script minifer
  • Html compressor
  • Image optimizer
One Page Seo :

  • Meta tag analyzer
  • Meta tag generator
  • Http headers
  • Keyword density
  • Keyword suggestion
Off Page Seo Tool :

  • Backlink cheker
  • Backlink builder
  • Search engine pinger
Blog/News Seo :

  • Artical rewriter
  • Plagiarism Cheker
  • Word counter
  • Gramer cheker
  • Word press ninja
Domain Tool :

  • Class c ip cheker
  • Dns records
  • Domain age
  • Domain authority
  • Domain availablity (bulk)
  • Domain ip look up
  • Re verse ip look up
  • Hosting provider lookup
  • Url encoder/decoder
  • Whois
Website Security Tools :

  • Avg website scan
  • Google malware scan
  • Black list look up
  • M D 5 generator
  • Url rewriting tool
Other Seo Tool :

  • Email extractor
  • My browser info
  • My ip address
  • Website worth estimate
Yese hi bahut saare tool  hai sinius seo tool me aap apni blog ka seo optimizetion aasani se kar payege. Me yahi kahu ga itne saare tool bo bhi ek sath kisi site par nahi hoge. Isiliye ye apps hamare liye, hamari blog ki seo ke liye bahu use full hai.
Click hare to download sniums seo tool

14. Word Press :

Aap to jante hi hoge aaj ke time word press kitni bado site hai. Online blog website and bisines blog website ke liye aaj ke time milion user wordpress par mozood hai. Agar word press ke baay koyi blogger platform hai to bo blogger hai jaha wordpress se bhi kam user nahj hai. Word online blog kayi topic par provide karta hai or plan ki baat kare to yaha bahut saare plan mozood hai. Ham word press par free blog bhi bana sakte hai. Lekin free blog banane se kya fayeda. Hame hosting to free me nahi milegi na. Ham word press par bina hosting ek bhi post nahi likh sakte hai. Or blog ka theem bhi change nahi kar sakte hai. 

Agar aap wordpress user hai to aapke liye ye apps bahut usefull hoga or isme loading ki bhi chinta nahi hai. Kyo ki wordpress site loading speed bahut slow hai. Is aaps me behi saare feture hai jaise wordpress ki offecial site par hai.
Sabhi jante hoge ki search engine se treffic pane ke liye post title or headings kitna use full hai. Agar hamara post title or headings user friendly nahi hogi to hame search engine se treffic nahi milega. Hame yesha post title chunna padta hai jise user search ingine me search karte hai. Lekin itna sochna hamari bas ki bat nahi hai. Agar ham yesa karte hai to ham sahi bhi ho sakte hai or galat bhi. Hame agar user friendly title headings chahiye to hame blog title generator ki help leni hogi lekin ye service free nahi hai iske liye aapko 200 rs charge karne padege. Aap chaye to onlone title heading creat kijiye jo bilkul free hai. Me iske baare me post likh chuka hu jo bahut use full hai.
Download now

Conclusion :

Jo mobile blogger hai unke liye to ye post usefull hai hi lekin computer blogger ke liye bhi use full hai. Ham agar computer se blogging karte hai or kabhi computer se post publish ya design comment reply share etc kk karne ke liye aap in mobile apps ki help le sakte hai. Or jo mobile se blogging kar rahe hai ya karna chahte hai unke liye ye post mobile se blogging karne ke liye 15 jaroori apps jaroor help full hoga or apko passand bhi aya hoga. Iskeliye share comment subscribe jaroor kare. Jay hind

    No comments:

    Post a Comment