Friday, May 19, 2017

Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Kaise Enable Kare

Hello friends Aaj ham Janege Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare, Blogspot Blog Me HTTPS SSL certificate Kaise Enable Kare,  and Blog ki security badane ke bare me batayege.
Aaj ke time hacking ka mamle yitne bad gaye hai ki koyi bhi chij document secure nahi hai. Duniya me yitne hacker bad gaye hai ki bo jo chahe bo hack kar sakte hai.

Yese me agar apni site and blog ki baat kare to bhi bilkul secure nahi hai. Bo bhi hackers kar sakte hai. Yesa nahi hai ki aap soch rahe hoge ki meri blog to choti hai bo meri blog ko hack karke lya karege. Hacker ko ye mayne nahi rakhta hai ki bo blog website kis rank par hai bo choti hai badi. Yisse hacker ko koyi farak nahi padta hai.

Blog ya website ko hack karne ke bahut saare karan ho sakte hai jo aap soch bhi nahi sakte hai. Jinmese kuchh karan aap jante hoge. Or kuchh karan aap nahi jante hoge. Yin mese ek karan ho sakta hai ki kya pata hacker ko apki blog ko hack karke koyi fayeda ho.
Ya ye bhi ho sakta hai koyi hacker kisi apne student training de raha ho ki web site blog kaise hack ki jati hai.

Or sabse bada karan ye hota hai ki jab koyi hacker kisi site ko hack karta hai to uski kuchh bajah ho sakti hai jaise ki paise kamana, kisa ka nuksan karna yesi kuchh bajah hoti hai jise hackers apnate hai.

Hacking ek trah ka crime hai lekin hackers se yahi baat poocho to be kahege ki ye ek telant hai mind hai. Kyoki hacking karne ke liye future ko dekhne baala brain chahiye.

Yisliye internet par jitni bhi site hai koyi bhi secure nahi hai. Jab hackers chahe hack kar sakte hai. Lekin yesa nahi ki website blog and internet ki security nahi ki ja sake bilkul ham apni blog website ki security karke apni websites ko secure bana sakte hai.
Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Kaise Enable Kare
Abhi ham baat karte hai blogspot ki security ki to hamari blog bhi secure nahi hai. Yinhe bahut hi asani se hack ho sakti hai. Hack kaise ho perday jane kitni blog website hack hoti rahti hai. Jinse unhe loss par loss hote rahte hai.

Lekin bo Yisliye hoti hai ki ham apni blog ki security ke baare me nahi soch te hai or blog banane ke baad manage karna hi bhool jate hai.

Agar hamari blog blospot per hai to apko apni blog ki security ke baare me jayada nahi sochna hai. Kyoki ye already google ki free service hone ke karan ye poori trah se google ke protection me rahti hai. Or google Inhe protect karta hai.

Lekin direct google apki blog ko protect nahi karega Yisliye google ke bhi rules hai. Google iskeliye apni blogger platform par ek service provide ki hai. Jise SSL HTTPS certificate jise google ne hamari blog ki security ke liye provide ki hai.

Jab tak ham apni blogspot blog par SSL HTTPS certificate enable nahi karenge tabhi tak google apki blog ko protect nahi karega. Yisliye hame apni blogspot blog me HTTPS enable karna hota hai.

Jaise hi ham apni blog par HTTPS enable karega tabhi se google ap ki blog ko protect karna suru kar dega. Or apki blog hackers se hack nahi ki ja sakegi.
Yisliye hame apni blogspot blog me HTTPS enable karna jaroOri hai. Blogger blog me SSL certificate setup karne ke liye neeche ka poora post pade.

HTTPS Kya Hai - Or Yisko Blogspot Blog Me Enable Karne Ke Kya Fayede Hai ?

HTTPS kya hai- HTTPS ek tarah ka blog website ke liye antivirus hai. Jis prakar Computer me antivirus Computer ki security protector ka kaam karta hai theek bese hi HTTPS website blog ki security badane or hacker se bachane ka kaam karta hai.
Blog Me HTTPS Enable karne Ke Profits- HTTPS se hamari blog ki security badti hai or hacking jaise mamlo se protect rahti hai. Hame apne blog me HTTPS enable karna chahiye. Blogger.com already free hota hai use karna hai. Agar other platform par yise enable karne ke liye apko paise dene padege lekin blogger par yesa nahi hai.

BlogSpot Blog Ki Security Ke Liye 

HTTPS Kkaise 

Enable Kare ?

Step1: Blogspot blog me HTTPS enable karne ke liye hame blogspot me login karna hoga. Yiskeliye sabse pahle Blogger.com per jaye or login kare. Jab blogspot/blogger me login karlege to apke saamne ek Window open hogi.
Ab apke left side me drop down menu hogi Aapko Baha Setting per click karna hai.
or phir Basic Per click karna hai.
Blogspot blog Ki Security Ke Liye HTTPS Kaise Enable Kare
Step2: Ab apke samne jo page kulega usme apke blog ka url hoga. uske Just Neeche HTTPS likha hoga. Apko baha NO dikhayi dega aap NO Dikhayi dega, Apko baha Yes karna hai. Or save click karna hai. Bas apke blog me blogspot blog me HTTPS enable ho gaya hai.
Blogspot blog ki security ke apki blog me HTTPS enable ho gaya hai. Jo apki blog ko bahut sefty de sakta hai.

Conclusion

To dosto apke blogspot blog me HTTPS enable ho gaya hoga. Agar aap ne abhi tak nahi kiya hai to aap jaldi karle Yisse apki blog ki security improve hoti hai.

Or har blogger yise use karta hai or karna chahta hai. Kyoki Yisse bahut fayeda khas kar ke security or rank me. Yisse apki blog ki rank bhi improve hoti hai.

To aap apne blog me HTTPS enable jaroor karle. Agar apko enable karne me koyi problem aye to neeche comment jaroor kare.

No comments:

Post a Comment