Sunday, May 14, 2017

Laptop(Computer) Ko Hang Hone Se Kaise Bachaye ?

Hello dosto jaisa ki ham jante hai ki laptop par agar jayada work kiya jaye to hang hona koyi aap baat nahi hai. Agar laptop ya Computerparr jayada work karna hai to hame use hang hone bachana bahut hi jaroori hai. Jo smart log hote hai bo yeshi problem ko apne system ko bahut door rakhte hai. Kyoli be yese problem ke bare me jante hai ki yisse kya hota hai or ye kaise ati hai.

Hame bhi yese logo ki tarah smart banna padega. Ye jitna sochne me easy lagta hai utna hai nahi kyoki yeshi bahut si baate hai jinko ham nahi jante hai.
Or anjane me ham unhi baato apne system par duhrate rahte hai. Yisse hamare computer hang honw jayaz hai.
Laptop/computer ko hang hone se kaise bachaye
Agar hame apne pc laptop desktops ko hang hone se bachana hai to hame kuchh smart logo ki tarah sochna padega.
Hame bo smartness apne brain me lanw hoga. Jo ye smart log hote hai bo koyi or nahi hami hai. Me apni hi baat kar raha hu. Ham hi smart man hai. Bas hame use karne ka tareeka pata karna hai.
Hame bo tareeka apnna hai jise sabhi use karte hai. Jo ek dam safe hai or yisse hamare pc ki safety bhi rahti hai.

Laptop(Computer) Ko Hang Hone Se Kaise Bachaye ?

Comouter ko hang hone se ham bahut hi easy se way se bacha sakte hai. Hame bas apne using ka tareeka badlna hoga. Kyoki hang hone system ki speed kam karne me ye bahut hi mahir hota hai.

Speed ki baat kare yisi se hamare system ko speed down ho jati hai. Jisse hang hona mamooli see baat hai.

Laptop(Computer) Me Hanging Problem kyo Aati hai or yise Kaise Theek Kare ? How to Fix Laptop Hanging Problem

Hanging problem har user ko hai. Kyoki ham apne pc ya system ka dhayan nahi rakhte hai or ham unme yesi file ya software ya programs install kar dete hai. Jo hamare system ko support nahi karta hai.

Hame yis problem ko fix karna padta hai. Jo itni asani se nahi ho sakta hai. Hame iskeliye bahut saare baato ko dhayan me rakhna padegi.
Hame apne systems ko safe rakhna padega jo neeche ke post me full guide hai. Full read kare.

1. Uninstall needless Software.

Hamesha Computer me bahi software install kare jinko aap use karte ho. Bekar ke faltu software ko computer se uninstall karna hi achha hai.

Ap jis software ko use karte ho ya bo sotware apke kaam ka hoto aap use hi install kare.

2. Install A Antivirus.

Antivirus ki baat kare to ye laptops ki jaan hai. Yisse hamara system security me rahta hai. Or ye hamare pc me anchayi file or virus ko nahi ane deta hai.
Yise aap apne computer me jaroor install kare. Apke liye online bahut se antivirus mil jayege. Aap apne liye free ya paid software use kar sakte hai. Mene iskeliye post bhi kiya hai. Aap yise read kare apko yusme achhe se achhe antivirus mil jayege.

3. Update Your Windows.

Aap to jante hi hoge ki Windows kya hai. Jaise hamaree body me jaan hoti hai. Jisse ham chte hai. Work karte hai jo bhi ham karte hai bo ham apni jaan se karte hai.
Theek bese hi computer ki jaan Windows hai. Theek usi prakar ye hamare system me work karti hai. 

Yise hame time time par update karte rahna chahiye. Jisse hamara Computer clean bana rahe.
Or yisse hame ek or fayeda hota hai ki agar Windows me koyi new fetures add hue to ham unhe update karke add kar sakte hai.

4. Forward Window And Change Window

Window forward karne se bahut fayeda hota hai. Kyoki jo window hamare system me install hoti hai bo limit time hoti hai.
Window ka package 1 year ka hota hai
 Jo 1 year ke baad expired ke roop chalti hai. Jisse system off hone ke chance bad jate hai.
Hame per year Computer ki window ko forward karna bahut hi jaroori hai. Forward karne ke liye aap net se window ko download karke repair kar sakte hai.

Aye din window change hoti rahti hai. Isliye market me window badlti rahti hai. Agar aap window ko change karna chahte hai to aap achhi quality ki window change kar sakte hai.

5. Reset systems:

Ham agar pc par jayada hi work karte hai to ye baat aap nahi hogi ki usme unchahi file save nahi ki ho or aap unko delet karne ki dhayan nahi bhooli ho.

Jab ham jayada pc ko work me layege to usme ham file folder and photos ko jaroor save karte hoge jinme se kuchh apke kaam ki bhi nahi hogi.
To hame yisse bhi pc ko hang hone ka khtra bada sakte hai.

Yise theek karne ke liye hame time ti time reset karte rahna chahiye jisse systems bilkul clearly rahe.

6. Use Internet Security Software

Jab hamare pass pc hai to aap usme internet jaroor use karte hoge. Kabhi aapne sochha hai ki agar hamare pc me iinternet security software install nahi hai to hua ki aap apni per par kulhadi mar rahe ho.

Jab ham internet use karte hai to bahut saare virus hamare pc me a jate hai jisse hamara pc hang ho sakta hai.

Internet Security software hamare pc ko internet ke virus se bachata hai. Or hamare systems ko protect karta hai. Hame yisse kafi had pc ko protection mil sakti hai.

7. Shutdown

Computer ko direct shutdown karna bahut hi bura and bad tareeka hai.  Agar ham laptop use karte hai to usme direct shutdown ka easy button hota hai jise log me bina soche samjhe key ko dabakar shutdown kar dete hai. Jisse windiw cracked hone ke chance bad jate hai.

Jab bhi ham shutdown kare to usse pahle sabhi open software and file ko remove karde or phir window me jaker shutdown kare.

8. Pc Booster :

Agar hame laptop/desktop ko clean rakhna hai to hame uskeliye pc booster ka use karna chahiye jisse ham time time par boost karke pc ko clean kar sake.

9. Antivirus Scanning:

Antivirus ko use karne ke liye mene uper kaha bhi hai ki ye kitna jaroori hai. Antyvirus ko use karna itna bhi asan nahi hai. 

Agar ham use time time par scan nahi kiya to bo kaam karna band kardega. Isliye use time time pae scan kare ya uski limit ko automatically scanning par daal do jisse bo jaroorat padne par automatic scan hone lagega.

10. Software Scanning:

Jab ham apne pc me new software install karte hai to use hame jaroor scan karna  chahiye.

Or old softwares ko update and scan kara smart logo ki passand hai. Isliye har software ko update and scan jaroor kare isse apke pc laptop ki speed badegi jisse hang hona 100% kam ho jayega.

Conclusion

To dosto aapko aaj ka post laptop ko hang hone se kaise bachaye. Me asha karta hu ki apko mera post passand aya hoga. Agar jaroor passand aya hoto like share subscribe jaroor kare.

No comments:

Post a Comment